HOW TO GENERATE SBI ATM PIN CODE IN HIND TUTORIAL AND USEFUL ALSO
State Bank Of India (SBI ) bharat ka sabse bada bank hai, apne customers ki jarurat ko dhyan me rakhkar samay ke anusar bank ki suvidhao me changes karta rahta hai taki aur bhi behtar tarike se customers ko ek behtar bank ki suvidha mil sake.Pahle jab ATM Card banaya jata tha to uske sath ATM Pin bhi bheja jata tha jo transaction karne ke kaam aata hai, waise to atm password ko baad me change kiya ja sakta tha lekin jab tak ATM aapke paas nahi aata tab tak wo PIN insecure rahta hai.
Lekin ab iska process badal gaya hai, ab aap khud net banking, SMS aur ATM Machine ke jariye apna atm password generate kar sakte hai, to aaiye jante hai SBI ATM PIN Kaise Set Kare.
SBI ATM PIN Kaise Banaye :-
1. Apne paas ke ATM me jaiye.
2. Apna ATM Card lagaye.
3. Ab PIN GENERATION ka Option select kare.
4. Apna Account Number enter kare.
5. Ab Registered Mobile Number enter kare, confirm karne ke liye do baar enter karna hai.
6. Ab aapke registered mobile number par ek OTP Code aayega.
7. Ye OTP Code ATM me dalkar aap apna ATM PIN set kar sakte hai.
Is tarah aap aasani se apna atm pin generate karke transaction ke liye use kar sakte hai.
Comments
Post a Comment